Insaan ke jiwan mein guru ka mahatavv.

Guru kyun jaruri hai:

Hii friends...mein anand apka dost aaj kuch batane wala hu jo kaafi samay se mein chahta tha ki iske baare mein kuch likhu..hum insaan jab se paida huye hai tab se hume guru ki jarurt padi hai..pehla guru humare ma baap hote hai..jo hume paida karte hai..humari sewa karte hai..bada karte hai..bahri duniya tak pahunchte hai..dusra guru humre school ke guru techer hote hai..jo hume is duniya mein apna sansarik gyan dete hai..tisra guru woh hota hai..jo hume us parmatma se jodne ka kaam karta hai..friends insaan ka janam 2 baar hota hai..pehla janam jab wo paida hota hai..or dusra jab usko gyan hojata hai akhir mera janam hua kyun hai..khate kamate hum sab apna jiwan khatam kar rhe hai..or humko pata bhi nhi hai hum kar kya rhe hai kiske liye kar rhe hai..kyun kar rhe hai..ye paisa ye motor gadi bangle kamane ke liye..nhi doston is janam maran se mukti ke liye itne saare janam lene ke baad ye manusya ki joni mili hai..utha lo labh..apne jiwan ko ek nayi disha mein le jao..jiske liye humara janam hua hai..or hum kar kya rhe hai..bas ek dusre ki taang khich rhe hai..ek dusre se aage badne ke chakker mein rishton ki maryada ko bhulte ja rhe hai..aisa kyun ho rha hai..jara soch ke dekhiye..par ye jiwan humko isliye nhi mila hai..kuch karna hai to kisi ki madad karke dekhk ko..usme jo anand milega wo kisi mein nhi hai..guru parmatma tak pahunchane ka kaam karte hai..puran maha pursho ki satsungat karo..jo humre jiwan ko ek nayi disha dikhane ka kaam karta hai..
Karta kare na kar sake..guru kare so hoye saat dwip no khand mein guru se bada na koi..
Doston guru bin gyan nhi hota pal pal par hume guru ki jarurt padti hai..vyavharik jiwan mein humRe guru koi bhi ho sakte hai..dost..ma baap..bhai bahan..rishtedaar jo bhi apko acchi baatein sikhaye wo apka guru hai..par adhyatmik jiwan mein guru kewL ek hota hai..pura guru jiske jiwan mein hai..wo sada apne bachho ka khayal rakhte hai..apni dori guru ke hath mein chhod do..koi dukh koi taklif apko hila nhi sakti hai..baat hai kewal bharose ki..jo bhi apke guru ho..apne guru par bharosa sabse bada hota hai..guru ka hath nhi pakdo..apne guru ko apna hath pakda do..apse hath chhut sakta hai agar guru ne hath pakad liya to kabhi wo kabhi apne bachho ka hath nhi chhodte..isliye jiwan mein guru ka hona bahut jaruri hai..jo humri pal pal par sahayata karte hai..jiske baare mein hume jankari hi nhi hoti hai..

Mere  vichaar apko kaise lage commnt mein jarur baateyein..dhanyawaad

Comments

Popular posts from this blog

Bharose ki takat

Baccho ko galat raston se bachane ke upaye

Chinta,sewa or safalta